Durga puja 2020 ke kuch khas rules

Namaskar dosto..


Durga puja hinduo ka 9 din manane wala bhut bada tewhar mana jata hai..khas kar  bangal ke log is tewhar ko badi shradha or dhum dham ke sath manate hai...
Is parv ko bharat me kai jagaho par bhi manaya jata hai jese ki uttar pradesh, bihar,jharkhand,odisha or sabse jyada west bangal me manaya jata hai..is parv ko desh ke bahar nepal aur bhutan  ke log bhi apne paramparo ke anusar manate hai..

Lekin is corona mahamari ke bich is saal 2020 me durga puja kuch naye niyamo ke sath manayi jayengi..
 
West bangal(Kolkata) me pandal ki tayiyari suru nahi hui hai magar durga puja thode niyamo ke sath hone ki puri sambhawna hai..

Kolkata ke foram for durgoutsaw ke   Secretary saswat basu ne kolkata ke 340 durga puja committees ko kuch guidelines dete hue kaha hai ki..
Puja ghumne wale se lekar waha ki police waha ke volunteers sabhi ko social distancing ka palan karna or mask lagana zaruri hoga..
Sath sath hi puspanjali se lekar sindur khela tak  social distancing me reh kr kiya jayega...

Durga puja Pandal committees ke liye kuch guidelines.. 
  1. Is saal saare pandal banane ki bajat thodi kam hogi...
  2. Pandal ki hight ko bhi thoda kam kiya jayega...
  3. Durga maa ki murtiya bhi jyada unchi nahi hongi..
  4. pandal ka mukhya dwar (entrance gate) pehle ke mukable bade hone chahiye...
  5. Pandal ke kalakaro se kaha gya hai ki wo aisa pandal banaye jisse log bahar se hi durga maa ke darshan kar paye..
  6. Pandal me jyada bhid nahi honi chahiye..
  7. Pandal me 25 se jyada logo ko ek sath andar jane ki anumati nahi hogi..
  8. Sath hi sare logo ko pandal ke andar jane se pehle unko "thermal scanning" aur "sanitize" kiya jayega..
  9. Dhyan rakhna padega agar kisi ko bukhar ho use pandal ke andar aane nahi diya jaye..
  10. Police aur Volunteers ko dhyan dena hoga ki sare log mask pehne ho..
  11. West bangal sarkar ko  anurodh kiya gaya hai ki pandal ko har roj sanitiz kiya jaye..

Iske sath sabhi logo se anurodh hai ki in sari guidelines ko smjhe or apni surakcha ke sath gumne nikle...
 
Durga puja bhi zaruri hai or hmarari sawdhaniya bhi zaruri hai...
 
Thank you..

Post a Comment

0 Comments